Wednesday, May 21, 2025

Kanhi kuch badal sa gaya hai pata nahi kya

 Jab jab mujhe tumhari jarurat mahsus hui,
 When ever I felt the need, 'ke tum pyar se mera sir sehla dete',
Sahanubhuti ke sath mera matha chumte aur meri pith pe hath phirate hue,
Mujhe apni bahno mei bhar kar apna beshumar pyar jatate aur
Mere nayano pe apni jeeva phira kar mere aanshuo ko pocch lete.

Jab mujhe jarurat mehsus hui tum pyar se sanyam bandhate,
Tab tab maine apne aap ko apne kamre mei, apne bister pe,
apne takiye mei muh chipaye bilkul akele paya.
 Apne aanshuo ko pite hue  maine khud ko khud hi samjha liya
Ek bar, bar bar, har bar, jab jab mujhe chahiye tha apka anant pyar.
 
 Aisa lagta hai kanhi kucch badal sa gaya hai, pata nahi kya,
Ab kuch bhi pahle jaisa nahi hai, bahut ander kuch bikhar sa gaya hai,
Kuch meri haddne rahi hongi shayad, mai waisa nahi rah paya,
kuch tumhari bhi rahi hongi,  jo tumne toh hamesha  hi mani aur,
Ek sukun bhara pyara sa ehasas iss se bana raha hai ess jeevan me.
 
 

No comments: